SEEKH….

MAYBE  IT  SOUNDS BORING BUT IT WAS NOT EASY FOR ME TO WRITE THIS……….

Toote taare ko dekh hasta hai koyee..
muskurata hai koyee..
aur koyee laga deta hai farmaish..
par uss dard ko koi mehsoos nahi karta
jiss dard ki wo taara kar raha hota hai aazmaish..
toot kar..
bikhar kar..
apne falak se door hokar…
aa girta hai wo zameen par
jahan milte hai usse tanhayee aur thokar..
fir sochta hai wo…
aise usne kya bura kaam kiya..??
jiski use saja mili….
andar se ek awwaz aayi…
bohat tha guroor tujhe aasman mein hone ka..
ab le maja apne sapno se door hone ka…
jab dekhta tha neeche toh yun itrata tha jaise aasman ka tu he tha akela sitara
kabhi dekha tune apne pass ka nazara…?
sadaa khud mein he khoya raha..
apne he khwaabon mein soya raha…
toh tune aise kya kaam kiya jisse tujhe aasman mein rakha jaata….?
isiliye tujhe aaj yeh sthaan mila………
aur asmaan se ye jameen ka jahan mila……
TOH DOST YE AKELA TAARA NAHI HAI JO APNE ANTH PE PACHTATA HAI………….
“APNE JEEVAN MEIN KUCH AISA KAAM KAR JAO
TAAKI SUKOON SE MAR PAO……..”

though end is very far but u have to drill in few features into yourself now if u want to harvest the gains later otherwise remorse,repent will be your best friends………………………………………

DO SOMETHING GOOD NOW….